Saturday, December 19, 2009

Faiz Ahmed Faiz

Himmat-e-iltijaa nahiin baaqii
 
himmat-e-iltijaa nahin baaqi
zabt kaa hausalaa nahin baaqi
 
ik teri did chhin gai mujh se...
varnaa duniya me kya nahin baaqi
 
apani mashq-e-sitam se haath na khench
main nahin yaa vafaa nahin baaqi 
terii chashm-e-alam_navaaz ki Khair
dil me koi gilaa nahiin baaqi
 
ho chukaa Khatm ahad-e-hijr-o-visaal
zindagii me mazaa nahin baaqii
 

Faiz Ahmed Faiz



Dono jahaan terii mohabbat me haar ke
wo jaa raha hai koi shab-e-Gam guzaar ke

viraan hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai
tum kya gaye ke ruuth gaye din bahaar ke

ik fursat-e-gunaah mili, wo bhi chaar din
dekhe hain ham ne hausale parvar-digaar ke

duniyaa ne teri yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhi dil fareb hain Gam rozagaar ke

bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz'
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke

Ehsan Danish

Nazar fareb-e-kazaa kha gai to kya hoga




 nazar fareb-e-kazaa khaa gai to kya hoga
hayaat maut se Takaraa gai to kya hoga



naii sahar ke bahut log muntazir hain magar..

Daag Dehlvi

Aarazuu hai vafaa kare koi



aarazuu hai vafaa kare koi
jii na chaahe to kya kare koi

gar marz ho davaa kare koi...

Brij Narain Chakbast

Dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaan honaa
 
dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-ima'an honaa
aadamiyat yahi hai aur yahi insaan hoa 

nau-giraftaar-e-balaa tarz-e-fuGa'an kya jaanen...

Bashir Badr

Aas hogii na aasaraa hogaa
aas hogii na aasaraa hogaa
aane vaale dinon main kyaa hogaa

main tujhe bhuul jaauungaa ik din...

Akhtar Sheerani

  Ae ishq hamen barbaad na kar
 
ae ishq na chhed aa aa ke hamen 
ham bhuule huon ko yaad na kar 
pahale hi bahut naashad hain ham..

Ahmed Nadeem Qasmi

Zehanon main Khayaal jal rahe hain
zehanon main Khayaal jal rahe hain
sochon ke alaav-se lage hain

duniyaa ki girift main hain saaye...

Ahmed Nadeem Qasmi

Jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii
 
jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar di 
dil magar is pe vo dharkaa ki qayamat kar di 

tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta...

Ahmed Faraz

Dukh fasaanaa nahi.n ke tujh se kahen
 
dukh fasaanaa nahin ke tujh se kahen 
dil bhi maanaa nahin ke tujh se kahen 

aaj tak apani bekali kaa sabab ....

Ahmed Faraz

Dost ban kar bhi nahin saath nibhaanevaalaa
 
dost ban kar bhi nahin saath nibhaanevaalaa 
vahii andaaz hai zaalim ka zamaanevaalaa 

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa...

Ahmed Faraz

Ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahiin imkaan jaanaa
 
ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahin imkaan jaana'an 
yaad kya tujh ko dilaaye tera paimaan jaana'an 


yonhi mausam ki adaa dekh ke yaad aayaa hai 
kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana'an 

zindagii teri ataa thi so tere naam ki hai...

Ahmed Faraz

Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa 
waqt ka kya hai guzartaa hai guzar jaayega 

itna maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apni 
tuu kabhi Khud ko bhi dekhega to Dar jaayega 
 

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhte rah jaaoge 
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa 
 

zindagii teri ataa hai to ye jaanevala 
teri bakhshiish teri dahliiz pe dhar jaayega 
 

Duubate Duubate kashtii ko ochhaalaa de duun 
main nahin koi to saahil pe utar jaayega 
 

zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka 'Faraz' 
zaalim ab ke bhi na royegaa to mar jaayega 

Adeem Hashmi

dil ajab gumbad ki jis me.n ik kabuutar bhii nahii.n
 
dil ajab gumbad k jis main ik kabuutar bhi nahin
itnaa viraan to murdaaron ka muqaddar bhi nahin
 
Duubatii jaatii hain mitii main badan ki kashtiyaan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin

jitne hangaame the suukhii Tahaniyon se jha.D gaye
pe.D par phal bhi nahin aangan main patthar bhi nahin

Khushk Tahanii par parinda hai k pattaa hai 'Adeem'
aashiyanaa bhi nahin jis ka koi par bhi nahin

jitni pyari hain meri dharti ki zanjiiren 'Adeem'
itna pyaraa to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

Adeem Hashmi

faasale aise bhii honge ye kabhii sochaa na thaa
 
faasale aise bhi honge ye kabhi sochaa na tha 
saamane baiThaa thaa mere aur vo mera na tha 

vo k Khushbuu ki tarah phailaa tha mere chaar suu 
main use mahasuus kar sakta tha chhuu sakta na tha 

raat bhar us ki hi aahat kaan main aati rahi 
jhank kar dekha gali main koi bhi aaya na tha
aks to maujuud the par aks tanhaai ke the 
aainaa to thaa magar us main tera chehra na tha 

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye 
aaj main royaa to mere saath vo roya na tha 

ye sabhi viraaniyaan us ke judaa hone se thi
aankh dhundalai hui thii shahar dhundhlaya na tha 

yaad karke aur bhi taklef hoti thi "Adeem" 
bhol jane ke siva ab koi bhi charaa na tha 

Adeeb Saharanpuri

ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.N rahane diyaa
 
ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaan rhne diya 
jaan kar ham ne unhen naameharaban rahane diya 

kitanii diivaaron ke saaye haath phailate rahe 
ishq ne lekin hamen beKhvaanamaan rahne diyaa 

apane apane hausale apanii talab kii baat hai 
chun liya hamne unhen saraa jahaan rahne diya 

ye bhi kya jiine men jena hai baGair un ke "Adeeb" 
shama gul kar dii gai baqii dhuaan rahne diya 

Ada Jafri


har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue
 
har ek harf-e-aarazuu ko daastaan kiye hue 
zamaana ho gaya hai un ko mehaman kiye hue

suruur-e-aish talKhi-e-hayaat ne bhulaa diya 

Abdul Hamed ADAM

aap agar ham ko mil gaye hote
 
aap agar ham ko mil gaye hote
baaG main phuul khil gaye hote

aap ne younhi ghuur kar dekhaa
hoant to youn bhi sil gaye hote

kaash ham aap is tarah milate
jaise do vaqt mil gaye hote

ham ko ahal-e-Khirad mile hii nahin
varanaa kuchh munfa_iil gaye hote

us ki aankhain hi kaj-nazar thi "Adam"
dil ke parde to hil gaye hote



Haider Ali Aatish

ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
 
ye aarazuu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte 
ham aur bul_bul-e-betaab guftaguu karate 

payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa 
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazu karte 

merii tarah se maah-o-mahar bhii hain aavara 
kisii habiib ko ye bhi hain justajuu karte 

jo dekhate terii zanjiir-e-zulf kaa aalam 
asiir hone ke aazaad aarazuu karate 

na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish" 
barasatii aag mein jo baaraaN ki aarazu karte 



Haider Ali Aatish

Tarrapate hain na rote hain na ham fariyaad karate hain
 
taraptey hain na rote hain na ham fariyaad karate hain 
sanam kii yaad main har-dam Khudaa ko yaad karate hain 

unhiin ke ishq mein ham naalaa-o-fariyaad karate hain 
ilaahii dekhiye kis din hamen vo yaad karate hain 


shab-e-furqat main kya kya saanp leharaty hain siine par 
tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain 

Powered By Blogger