Sunday, December 20, 2009

Faiz Ahmed Faiz

kyaa karen 
Meri teri nigaah me jo laakh intazaar hain
jo mere tere tan badan me laakh dil fiGaar hain
jo meri teri ungaliyon ki behisi se sab qalam nazaar hain
jo mere tere shahar ki har ik gali me....

mere tere naqsh-e-paaa ke be-nishaa mazaar hain
jo meri teri raat ke sitaare zakhm zakhm hain
jo meri teri subah ke gulaab chaak chaak hain
ye zakhm saare be-davaa ye chaak saare be-rafuu
kisi pe raakh chaarkii kisi pe us ka lahuu
ye hain bhi yaa nahin bataa
ye hai ki mahaz jaal hai
mere tumhaare a.nkabuut-e-vaham kaa bunaa huaa
jo hai to is ka kya karen
nahin hai to bhi kya karen
bataa, bataa, bataa, bataa

No comments:

Powered By Blogger