Junuun-e-shauq ab bhi kam nahin hai
junuun-e-shauq ab bhi kam nahin hai magar vo aaj bhi barham nahin hai bahut mushkil hai duniyaa ka sanvaranaa... teri zulfon ke pech-o-Kham nahin hai bahut kuchh aur bhi hai jahaan men ye duniyaa mahaz Gam hi Gam nahin hai meri barbaadiyon ke ham_nashinon tumhen kya Khud mujhe bhi Gam nahin hai abhi bazm-e-tarab se kyaa uthuun main abhi to aankh bhi pur_nam nahin hai ‘Majaz’ ek baadaakash to hai yaqinan jo ham sunate the vo aalam nahin hai
No comments:
Post a Comment