Monday, December 21, 2009

Mirza Ghalib

Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
 
Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak 
kaun jiitaa hai teri zulf ke sar hone tak 

daam har mauj me hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang 
dekhen kya guzare hai qatare pe gauhar hone tak 

aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab 
dil ka kya rang karuun khuun-e-jigar hone tak 

ham ne maanaa ke tagaaful na karoge lekin 
khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hone tak 

partav-e-khuur se hai shabanam ko fana ki taalem 
main bhi huun ek inaayat ki nazar hone tak 

yak_nazar besh nahin fursat-e-hasti Gaafil 
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak 

Gam-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj 
shammaa har rang me jalati hai sehar hone tak 



No comments:

Powered By Blogger