Dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahin kiya
Dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahin kiya
khud ko halaak kar liya khud ko fidaa nahin kiya
kaise kahen ke tujh ko bhi hamase hai vaastaa koi
tuune to hamase aaj tak koi gilaa nahin kiya
tuu bhi kisi ke baab me ahad-shikan ho Gaaliban
main ne bhi ek shakhs ka qarz adaa nahin kiya
jo bhi ho tum pe mautariz us ko yahi javaab do
aap bahot shariif hain aap ne kya nahin kiya
jis ko bhi shekh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diya qaraar
hamane nahin kiya vo kaam haan baa-Khudaa nahin kiya
nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kaar-e-jehl bhi be-ulaamaa nahin kiya
No comments:
Post a Comment