Monday, December 21, 2009

Ibne Insha

Aur to koi bas na chalegaa hijr ke dard ke maaron ka
 
Aur to koi bas na chalegaa hijr ke dard ke maaron ka 
subah ka hona doobhar kar dai rastaa rok sitaaron ka 

jhuuthe sikkon me bhi uthaa dete hain aksar sachchaa maal 
shaklen dekh ke saudaa karnaa kaam hai in banjaaron ka 

apani zubaan se kuchh na kahenge chhup hi rahenge aashiq log 
tum se to itana ho saktaa hai puuchho haal bechaaron ka 

ek zaraa si baat thi jis ka charchaa pohnchaa galii galii 
ham gum_naamon ne phir bhi ehasaan na maanaa yaaron ka 
 
dard ka kehna cheekh utho dil ka taqazaa vaza'a nibhaao 
sab kuch sehnaa chup chup rehnaa kaam hai izzat_daaron ka 

 

No comments:

Powered By Blogger