Monday, December 21, 2009

Jaun Eliya

sazaa

 
har baar mere saamane aatii rahi ho tum 
har baar tum se mil ke bichha.Dataa rahaa huun main 
tum kaun ho ye khud bhi nahin jaanti ho tum 
main kaun huun ye khud bhi nahin jaantaa huun main 
tum mujh ko jaan kar hi pa.Dii ho aazaab me 
aur is tarah khud apani sazaa ban gaya huun main...

tum jis zamiin par ho main us kaa khudaa nahin 
bas sar basar aziiyat-o-aazaar hi raho 
bezaar ho gai ho bahut zindagii se tum 
jab bas me kuchh nahin hai to bezaar hi raho 
tum ko yahaan ke saayaa-e-paratau se kyaa Garaz 
tum apane haq me biich ki diivaar hi raho 

main ibtadaa-e-ishq me bemahar hi raha 
tum intahaa-e-ishq ka miyaar hi raho 
tum khuun thuukatii ho ye sun kar khushii hui 
is rang is adaa me bhi pur_kaar hi raho 

main ne ye kab kaha tha ke muhabbat men hai najaat 
main ne ye kab kaha tha ke vafadaar hi raho 
apani mataa-e-naaz lutaa kar mere liye 
baazaar-e-iltafaat me naadaar hi raho 

jab main tumhen nishaat-e-muhabbat na de saka 
Gam me kabhi sukuun-e-rafaaqat na de saka 
jab mere saare charaaG-e-tamannaa havaa ke hain 
jab mere saare khvaab kisi bevafaa ke hain 
phir mujhe chaahane ka tumhen koi haq nahin 
tanha karrhaane ka tumhen koi haq nahin 


No comments:

Powered By Blogger