Sunday, December 20, 2009

Parveen Shakir

paa-ba-gil sab hain rihaai ki kare tadabiir kaun –


paa-ba-gil sab hain rihaai ki kare tadabir kaun

dast-bastaa shahar me khole meri zanjir kaun 

meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le

kar rahaa hai mere fard-e-jurm ki tahriir kaun 

aaj darvaazon pe dastak jaani pahachaanii si hai

aaj mere naam laataa hai meri taaziir kaun

niind jab Khvaabon se pyaari ho to aise ahad me

Khvaab dekhe kaun aur Khvaabon ko de taabir kaun 

ret abhi pichhale makaanon kii na vaapas aai thi

phir lab-e-saahil gharaundaa kar gaya taamiir kaun 


saare rishte hijraton me saath dete hain to phir

shahar se jaate hue hota hai daaman ger kaun 


meri chaadar to chheni thi shaam ki tanhai ne

beridaaii ko meri phir de gaya tashhiir kaun 


dushmanon ke sath mere dost bhi aazaad hain

dekhana hai khenchataa hai mujh pe pehlaa teer kaun

No comments:

Powered By Blogger