Sunday, December 20, 2009

Farhat Abbas Shah

Aag ho to jalne me der kitani lagati hai
 
aag ho to jalne me der kitni lagti hai 
barf ke pighalane me der kitni lagti hai

chaahe koi ruk jaaye chaahe koi rah jaaye 
qaafilon ko chalane me der kitni lagti hai

chaahe koi jaisaa bhi ham_safar ho sadiyon se 
raastaa badalne me der kitni lagti hai

ye to vaqt ke bas me hai ke kitni mohalat de 
varnaa baKht Dhakane me der kitni lagati hai

mom ka badan lekar dhuup me nikal aanaa 
aur phir pighalane me der kitni lagti hai

soch ki zamiinon me raaste juda hon to 
duur jaa nikalane me dair kitani lagti hai

No comments:

Powered By Blogger